Doubtnut Promotions Sticky

SEPARATION OF SUBSTANCES for Class 6 SCIENCE

Introduction

Hamari daily life mein bahut sare aise instances hote hai jab hum dekhte hai ki ek substance ko mixture se separate kiya jata hai. Eg- Hum strainer ki help se tea ko tea leaves se separate karte hai. Aise hi aur bahut sare examples hum apni daily life mein dekhte hai. Chapter 3 mein bhi hamne dekha ki hum ginning ki process se cotton seeds ko fibre se separate karte hai. Iss chapter mein hum separation ke different methods ke baare mein padhenge aur yeh bhi dekhenge ki kis type ke substance ko kounse method se separate kiya ja sakta hai. Inn methods ke uses ke kuchh daily life examples ke bare mein bhi hum janege.

Let’s understand about substances and mixture

Lekin methods ke baare mein janne se pehle hum kuch basic terms sikhenge. Hum janege ki pure substances kya hote hai, impure substances kya hote hai, mixture kya hote hai aur unko separate kyon kiya jata hai.
Pure substances: Aise substances jisme sirf ek hi type ke constituent particles present hote hai unko pure substances kehte hai. Eg- Iron, copper, salt, etc.

Impure substances: Aise substances jisme ek se jyada type ke constituent particles present hote hai unko impure substances kehte hai. Eg- Milk, muddy water, rocks, etc.

Mixture: Aise substances jisme ek se jyada type ke components mixed hote hai aur unko hum physical methods ki help se separate kar sakte hai. Aise substances ko mixture kehte hai. Eg- Mixture of salt and water, mixture of sugar and water, etc.
Ab hum kuchh aise methods ke bare mein padhenge jisse hum mixture mein se bahut small particles ko bhi separate kar sake kyonki agar do fruits ko mix kar diya jaye to hum unko easily separate kar sakte hai lekin agar salt aur sugar mix ho jaye to unke particles ko hum kaise separate karenge. Iske liye hum methods of separation padhenge.Lekin isse pehle hum dekhte hai ki substances ko separate karne ki kya need hai.

Why do we separate substances? Hum substances ko separate isliye karte hai taki hum useful aur waste components ko alag kar sake, impurities aur harmful substances ko bhi apne mixture mein se remove kar sake aur ek pure component or substance obtain kar sake. Sometimes agar hamein need hoti hai toh hum useful substances ko bhi separate karte hai.

Methods of separation

Hum jo bhi substances separate karte hai wo different size ke hote hai aur solid, liquid ya gas kisi bhi state mein ho sakte hai. Toh iske liye hum following methods ko study karenge.

Handpicking

Yeh method wheat, rice or pulses jaise grains mein se slightly larger impurity particles like pieces of dust or stone ko remove karne ke liye use kiya jata hai. Aisi impurities ki quantity bahut jyada nahi hoti isliye hum isko handpicking se hi separate kar dete hai. Handpicking se mixture ke solid-solid components ko separate kiya jata hai.

ocr_image

Threshing

Iss process mein grains ko stalk se separate kiya jata hai.
Firstly wheat or paddy stalks ko harvesting ke bad sunlight mein dry kiya jata hai. Every stalk mein bahut sare grain seeds attach hote hai toh farmers hands se pick karke unko separate nahi kar sakte isliye grain seeds ko stalk se separate karne ke liye threshing ki process use ki jati hai. Iss process mein grain seeds ko free karne ke liye stalk ko beat kiya jata hai. Bullocks ki help se bhi threshing ki jati hai. Large quantity mein threshing karne ke liye machines ka use bhi kiya jata hai.

ocr_image

POINT 1

Pure substances: Pure substances are defined as substances that are made of only one type of atom or only one type of molecule.

Impure substances: Impure substances are made up of different kinds of elements combined together or more pure substances mixed together in any proportion.

Mixture: When two or more substances mix with each other without participating in a chemical change, the resulting substance is called a mixture.

Handpicking: The process used to separate slightly larger particles from a mixture by hand is called handpicking.

Threshing:The process that is used to separate grain from stalks etc. by beating the stalk is called threshing.

Winnowing

Yeh ek aisa process hai jis mein wind aur blowing air ke through ek mixture ke lighter aur heavier components ko separate kiya jata hai.
Farmers commonly iss process ko grain ke heavy seed particles se lighter husk particles ko separate karne ke liye use karte hai.
Wind ki help se husk particles carried away ho jate hai aur grains ke seeds separate ho kar winnowing ke platform ke pas ek heap bana lete hai. Separated husk ko bahut sare purposes ke liye use kiya jata hai. Eg- Husk ko cattles ke liye fodder ki tarah use kiya jata hai.

ocr_image

Sieving

Yeh ek aisa process hai jisme ek mixture mein se different size ke components ko sieve se separate kiya jata hai.
Eg- Agar hamein flour mein se impurities aur bran ko separate karna ho to hum ek sieve lete hai aur flour ko usme pour kar dete hai. Sieve fine flour particles ko holes mein se pass hone deta hai aur bigger impurities sieve par hi reh jati hai.
Flour mill mein flour ko grind karne se pehle uski impurities remove ki jati hai. Construction sites par bhi sand mein se pebbles aur stones ko separate karne ke liye slanting sieve use ki jati hai.

ocr_image

Sedimentation, Decantation and Filtration

Jab ek mixture mein water add karne ke bad heavier component settle down ho jata hai, iss process ko sedimentation kehte hai.
Particles ke settle down hone ke bad jab dust ke sath water ko remove kiya jata hai usko decantation kehte hai.
Eg- Hum usually rice aur pulses ko cook karne se pehle wash karte hai kyonki jab hum isme water add karte hai toh dust water mein chala jata hai aur hum vessel ko tilt karke dirty water remove kar dete hai. Iss tarah sedimentation aur decantation se hum impurities ko remove karte hai.
Yeh same principle aise do liquids ke mixture ko separate karne ke liye bhi use kiya jata hai jo ek dusre ke sath mix nahi hote. Eg- Oil aur water ke mixture ko hum iss process se separate kar sakte hai. Aise mixtures ko agar hum kuchh der tak undisturbed chod de toh yeh do separate layers form kar dete hai aur fir top layer ko decantation ke process se separate kiya ja sakta hai.

ocr_image

Filtration

Yeh ek aisa process hai jisme do substances ka mixture (ek insoluble solid aur liquid) ek filtering device mein se pass kiya jata hai.
Eg- Hum tea ko strainer ki help se tea leaves se filtration ke process se separate karte hai. Hum fresh fruit juice mein se seeds aur pulp ko bhi filtration ke process se hi separate karte hai. Cottage cheese ke preparation process mein bhi filtration ka method use hota hai.

ocr_image

POINT 2

Winnowing: The process of separating heavier and lighter components of a mixture by wind or by blowing air is called winnowing.

Sieving: The process of separating fine particles from the larger particles by using a sieve, is called sieving.

Sedimentation:The process of particles settling to the bottom of a body of water is called sedimentation.

Decantation: Decantation is the process of separating insoluble solid particles from a liquid or separating two immiscible with different densities.

Filtration: Filtration is a process used to separate solids from liquids or gases using a filter medium that allows the fluid to pass through but not the solid.

Evaporation

Water ko water vapours mein convert karne ke process ko evaporation kehte hai. Iss process mein mixture ko heat kiya jata hai. Mixture ka liquid part evaporate ho jata hai aur remaining solid part bachta hai.
Sea water mein se common salt bhi evaporation ke process se hi obtain kiya jata hai. Sea mein bahut sare salts hote hai, isme se ek common salt bhi hota hai. Jab sea water ko shallow pits mein collect karke sunlight mein rakha jata hai tab sunlight ki heat se water slowly evaporate ho jata hai aur solid salts bachte hai. Iske bad further purification ke process se hamein common salt obtain hota hai.

ocr_image

Use of more than one method of separation

Hamne mixture mein se substances ko separate karne ke bahut sare different methods ke bare mein padha. Lekin aisa jaruri nahi hai ki ek method ko use karke hum ek mixture ke different substances ko separate kar sake. Ek mixture ke different substances ko separate karne ke liye hamein ek se jyada methods use karne padte hai.Isko achhe se janne ke liye hum ek activity perform karte hai.

Activity

  • Hum sand aur salt ka mixture lenge.
  • Mixture ko ek beaker mein rakhenge aur isme water add karenge.
  • Beaker ko kuchh der undisturbed rakh denge.
  • Kuchh der bad hum dekhenge ki sand beaker ke bottom par settle down ho jayegi.
  • Sand ko hum filtration ya decantation ke method se separate karenge.
  • Hamne sand ko separate kar liya hai, ab hamein water mein se salt ko separate karna hai.
  • Water se salt ko separate karne ke liye hum mixture ko heat karenge.
  • Heat karne par water evaporate ho jayega aur hamein salt mil jayega. Yeh poora process hum step by step niche figure ke through dekh bhi sakte hai.

  • ocr_image

    Ab hamne salt obtain karne ke liye water ko evaporate kar diya lekin isme water ka loss ho gaya. Agar hamein water aur salt dono chahiye aur unko separate bhi karna hai to hum apne last step evaporation ko modify kar sakte hai. Iske liye hum niche diye steps ko follow karenge.
  • Hum salt water ka mixture lenge aur usko ek kettle mein transfer karke uski lid close kar denge.
  • Kuchh der ke liye kettle ko heat karenge aur ek metal plate ko hold karke us par ice rakh lenge.
  • Jab kettle ke spout mein se water se bani steam nikalne lagegi tab kettle ke spout ke just upar uss plate ko hold karke rakhenge.
  • Vaha par ek empty beaker bhi rakh denge.
  • Hum dekhenge jaise hi steam ice cooled plate ke contact mein aayegi steam condense ho kar wapas water droplets mein change hona start kar degi.
  • Yeh condensation ki process ki vajah se possible hoga.
  • Aisa process jisme water vapours cooling ki vajah se vapas water droplets mein convert ho jate hai, usko condensation kehte hai.

  • ocr_image

    Can water dissolve any amount of a substance?

    Hum apni daily life mein dekhte hai ki kuchh substances water mein dissolve ho jate hai aur ek solution form karte hai i.e. yeh substances water mein soluble hote hai. Agar hum salt aur water ka ek solution banaye aur ek particular amount of water mein continuously bahut sara salt add karte jayenge toh kya hoga?
    Toh wo salt water mein poora dissolve nahi ho payega. Lekin yeh kaise hoga yeh dekhne ke liye hum niche diye steps follow karenge-

  • Firstly hum ek glass water lenge. Usme ek spoonful salt add karenge.
  • Usko spoon ke help se achhe se stir karenge aur jab vo salt dissolve ho jayega toh yeh step repeat karenge.

  • ocr_image

  • Again and again hum yeh step repeat karenge lekin 2-3 spoons salt dissolve hone ke bad hum notice karenge ki ab salt water mein dissolve hona band ho jayega aur iss solution ko hum saturated solution kahenge.
  • Lekin aisa kyo hoga?
    Kyonki ek particular amount of water (solvent) mein ek particular amount of salt (solute) hi mix ho sakta hai. Ek time aisa aata hai jab maximum amount of solute ko hum dissolve kar dete hai aur uske bad wo dissolve hona band kar deta hai.
    Water mein bahut saare substance dissolve kiye ja sake hai jaise salt, sugar, coffee powder, etc. Lekin aisa jaruri nahi ki har ek substance water mein equally dissolve hoga.
    Every substance ke sath water ka saturation point different hoga i.e. har ek substance alag-alag amount mein water mein dissolve ho pata hai.
    Iss chapter mein hamne bahut sare separation methods ke baare mein padha, inme se kuchh methods science laboratory mein bhi use kiye jate hai. Hamne yeh bhi padha ki ek substance ko liquid mein dissolve karke solution banta hai. Jab kisi liquid mein ek time ke bad substance dissolve hona stop ho jaye to usko saturated solution kehte hai.

    POINT 3

    Evaporation: Evaporation is the process of a substance in a liquid state changing to a gaseous state due to an increase in temperature.

    Saturated solution: A saturated solution is a solution that contains the maximum amount of solute that can be dissolved under the condition at which the solution exists.

    Solute: The substance dissolving in a solution, it is less in quantity.

    Solvent: A substance that can dissolve another substance, or in which another substance is dissolved, forming a solution.

    Solution: A solution is a homogeneous mixture of one or more solutes dissolved in a solvent.

    Condensation: Condensation is the process of a substance in a gaseous state transforming into a liquid state by cooling.

    SUMMARY

    1. Handpicking, winnowing, sieving, sedimentation, decantation and filtration are some of the methods of separating substances from their mixtures.

    2. Husk and stones could be separated from grains by handpicking.

    3. Husk is separated from heavier seeds of grain by winnowing.

    4. Difference in the size of particles in a mixture is utilised to separate them by the process of sieving and filtration.

    5. In a mixture of sand and water, the heavier sand particles settle down at the bottom and the water can be separated by decantation.

    6. Filtration can be used to separate components of a mixture of an insoluble solid and a liquid.

    7. Evaporation is the process in which a liquid gets converted into its vapour. Evaporation can be used to separate a solid dissolved in a liquid. A saturated solution is one in which no more of that substance can be dissolved.