To bachho jsa ki hmne Chapter 1, mei pdha hai ki inverse of function denote kiya jata hai f−1 se, aur ye tbhi exist krta hai jab function f one-one aur onto ho iss condition ko hum bijective khte hai, function one-one tabhi hota hai jab uske co-domain mei uss element ka ek hi image ho yani har ek element ki ek unique image hogi, aur function onto tabhi khlata hai jab co-domain ke saare elements ke liye domain mei image present ho to ab hmne one-one aur onto function ki condition ko alag alag smajha hai ab hum dono function ki condition ko ek saath padhenge.
Bijective Function
Ek function bijective or bijection function, tabhi khlata hai if f: A→B
*Note A is domain and B is range.
Satisfy kare dono conditions ko injective(one-to-one function) aur surjective(onto function) ki properties ko. iska matlab hai ki co-domain B mei present b har ek element ke liye ek element exist karega a in the domain A such that f(a)=b agar function ess condition ko satisfy karta hai to function one-to-one correspondence khlata hai.
But bahut saare trigonometric functions ase bhi hai jo one-one aur onto nhi hai apne natural domain ya range mei to unka inverse exist nhi karta. To ab hum padhenge functions ke domain mei restrictions ke baare mei aur trignometric functions ki range ke baare mei. jo ki trigonometric functions ki existence ko ensure karate hai.
Class 12 | MATHS |
Chapter | INVERSE TRIGONOMETRIC FUNCTIONS |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.