Doubtnut Promotions Sticky

CHEMICAL EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT Class 8 CHEMISTRY Ncert Solutions

Hamare chapter ka name hai ”Chemical effects of electric current”, toh jaisa ki hum jante hai ki jab electric current flow karta hai toh woh different type ke effects produce karta hai, unme se hi ek iske chemical effects bhi hai. Iss chapter mein hum current ke chemical effects ke baare mein janege. Hum dekhenge ki jaise solid substance electricity conduct karte hai kya ussi tarah liquids bhi electricity conduct karte hai? Iske baad hum janege ki yeh electricity conduct kaise karte hai aur kya- kya chemical effects produce karte hai. Iss chapter mein hum janege ki electrodes kya hoti hai, electroplating kya hoti hai, different objects par electroplating kyo aur kaise ki jati hai, etc. Yaha hum electroplating ki applications ke baare mein bhi padhenge.

Read More