Chapter 3 ELECTRICITY Class 10 PHYSICS Ncert Solutions

Hum sabhi apne daily life me all the time electricity use karte hai, humare gharo me, schools me, offices me and industries me etc. Yaha tak ki koi teacher bhi ager aapko online padha raha hai ya aap hi online class attain kr rahe ho to bina electricity ke ye possible nahi hai. Pr kya aap samjhte hai ki electricity hota kya hai? Wires me aisa kya magic hota hai joki lights, fans, computers and machines ko run karta hai. Electric circuit, electric current, electric charge and electric potential in terms ka mtlb kya hota hai? So don't worry, hum yaha pr bht hi easy way me in sare terms ko smjhenge.

ocr_image

Kya aap imagine kr sakte hai ki bina electricity ke aapki life kaisi hogi? Humari life puri electricity ke uper depend hai, kyunki humari basic jarurt ki sabhi chije jaise ki bulbs, iron, computer, train, washing machine, TV, mobile etc electricity se hi chalti hai. Isliye bina electricity ke humari life bht hi difficult ho jayegi.
What is Electricity? Electricity ek physical phenomenon hai jo electric charges ke presence ya flow ke karan hota hai. Ab aap soch rahe honge ki electric charge kya hota hai? Ise smjhne ke liye hume kisi atom ke atomic structure pe ana hoga. Kisi bhi atom me protons, electrons and neutrons present hote hai jaise niche fig me show kiya gaya hai. Protons and neutrons atom ke center me placed hote hai jise nucleous kahte hai, jabki electrons nucleous ke charo taraf move karte hai. Neutrons me koi charge nahi hota, protons positive charged hote hai and electrons negative charged hote hai. Atom ke outer layer me kuchh electrons free electrons hote hai joki ek atom se dusre atom me transfer bhi ho sakte hai. In transferable free electrons ko hi electric charge kahte hai. Electric charge ka sabse chhota element electron hai.

ocr_image

Types of Electricity - Electricity do types ke hote hai.
1. Static electricity
2. Current electricity

Static Electricity: Static electricity ka mtlb hai jab electric charge ruka hua hota hai (only present hota hai), flow nahi hota use hum static electricity kahte hai.
Current Electricity: Current electricity ka mtlb hai jab electric charge flow hota hai use current electricity kahte hai.
Electricity ka basic samjhne ke baad aap niche diye gaye figure me dekh sakte hai ki Electricity ke ander is chapter me hum koun-koun se points pe focus karenge.

ocr_image

1. Definition of Electricity -Physical phenomena associated with the presence and flow of electric charge is known as electricity.

Read More
Class 10PHYSICS
ChapterELECTRICITY
MediumEnglish
Academic Year2023-2024

Chapter 3 ELECTRICITY Class 10 PHYSICS Book Solutions

These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.

KUMAR PRAKASHAN - ELECTRICITY

OSWAAL PHYSICS (KANNADA ENGLISH) - ELECTRICITY

MBD NCERT SOLUTIONS - ELECTRICITY

FULL MARKS PHYSICS (TAMIL ENGLISH) - ELECTRICITY

VGS BRILLIANT PHYSICS (TELUGU ENGLISH) - ELECTRIC CURRENT

SURA PHYSICS (TAMIL ENGLISH) - ELECTRICITY

TARGET PHYSICS - EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT

NAVNEET SCIENCE - EFFECTS OF ELECTRIC CURRENT

NCERT EXEMPLAR PHYSICS - ELECTRICITY

PRADEEP PHYSICS - ELECTRICITY