Is chapter me hum log light ke different phenomenon ke bare me padhenge. Light ke bare me Humne class 8 aur class 9 me padha hai aur aage hum class 12th me bhi details me light ke different phenomena ke bare me padhenge. Is chapter me hum light ke sirf do phenomena reflection and refraction ke bare me baat karenge. Light ki vajah se hi hum chijon ko dekh sakte hai. Agar humare life me light hogi hi nahi to hume kuchh bhi chij dikhai kaise degi? Kyunki light kisi bhi object pe jab padti hai aur us object se takra kr wapas humari aankhon pr aati hai to humari aankhen us light ko observe karti hai. Jiske karan hum chijon ko dekh paate hai. Agar light present naa ho mtlb ki jaise rat ho gai ho aur rat ke samay me bijli chali gai ho to chije sari apni jagah pr hoti hai uske bavjud koi bhi chij hume dikhai nahi deti. To iska matlab kya hai? Socho-socho! Light ki vajah se hi different colour forms me humari aankhen light ko absorb karti hai, iske bare me hum next chapter me padenge. Chaliye nazar daalte hai chapter ke content pr, ki hume padhna kya-kya hai.
Class 10 | PHYSICS |
Chapter | LIGHT - REFLECTION AND REFRACTION |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.