Jaise ki class 6 mein hamne padha ki food kya hota hai, uske components kya hote hai etc. To food hamari body ke liye ek fuel ka kaam karta hai jaise ki kisi bhi vehicle ko chalane ke liye hame fuel ki jarurat hoti hai. Eg- Car mein jab tak hum petrol nahi dalte tab tak usko chalaya nahi ja sakta. Theek isi tarah jab tak hum khana nahi khate tab tak hamari body mein bhi work karne ki energy nahi hoti. Food sabhi living organisms ke jinda rehne ke liye aur unki body ki growth ke liye bahut hi important element hai. Hamne class 6 mein yeh bhi padha ki food mein kuchh components bhi present hote hai. Eg- carbohydrate, proteins, vitamins, minerals and fats. Food mein jitne bhi components present hote hai unko hum nutrients kehte hai. Ab iss chapter mein hum padhenge ki nutrients kya hote hai, nutrition kya hai, modes of nutrition kya hote hai, photosynthesis kya hai aur soil mein nutrients kaise replenish karte hai, insectivorous plants kya hote hai etc.
Read MoreClass 7 | BIOLOGY |
Chapter | NUTRITION IN PLANTS |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.