To bachcho apne triangles ke baare mein to apni pichli classes mein padha hai, particularly right triangle ke baare mein chahe fir wo similarity of triangle ho yaa Pythagoras theorem etc.
Es chapter mein hum triangle ki side and angle ke beech mein relationship smjhenge. Bachcho sabse pehle hum ye dekhte hai ki why we are studying this chapter ? Isko samjhne ke liye chalo apne surroundings se hum kuch live examples lete hai. Manlo aap apne friends ke sath delhi ghumne gye aur Qutub Minar pahuch gye, Ab aapko Qutub Minar ki height nikalni hai to aap kaise nikalenge ?
Chalo ek aur situation consider karte hai manlo apne ek hot air balloon dekha aur jaise hi apne usko dekha aap apni mom ko dikhane ke liye bula ke late ho aur itni der mein balloon position A se B pe aa gya. To kya aap balloon B aur ground ke beech ka altitude nikal sakte hai ?
Esi tarh ki problems ko solve karne ke liye hum trigonometry ka use karte hai. ‘Trigonometry’ word derive hua hai greek words se in which ‘tri’ (meaning three), ‘gon’ (meaning sides) and ‘metron’ (meaning measure). In fact, trigonometry is the study of relationships between the sides and angles of a triangle. Astronomers iska use stars aur planets ke beech ka distance find karne ke liye karte they lekin ab Engineering aur physical sciences mein bahut se technologically advanced methods trigonometric concepts pe based hai.
Hum es chapter mein padhne vale hai about Trigonometric ratios of an acute angle of a right-angled triangle. Proof of their existence (well defined). Values of the trigonometric ratios of 30∘, 45∘ and 60∘. Relationships between the ratios, proof and applications of some simple trigonometric identities.
Class 10 | MATHS |
Chapter | TRIGONOMETRIC RATIOS AND IDENTITIES |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.