Bachho is chapter ki sari kahani light yani radiation aur matter ke dual nature ke bare me hai. Jaise ki is chapter ka topic hai jise hum padh chuke hai ki radiation ka effect wave form me hota hai, aur yaha pr hum dekhenge radiation ka effect particles form me. Jisse hum kah sakte hain light yani radiation ke do form hote hai- wave form aur particle form.
Is chapter me do part hai, pehle part me hum baat karenge radiation ke bare me jiske do nature hain wave form aur particle form, dusre part me baat karenge matter ke bhi do nature hai, matter particle form ke saath saath wave form bhi hota hai, ya create karta hai, jise hum debroglie hypothesis ke dwara prove karnnge.
Bachhon is universe mein jitney bhi matter hai wo sabhi bhut sare atoms se milkar bane hai, lekin sawal ye hai ki atoms hai kya aur uska shape kaisa hai? To in sare savalon ka jawab khojane ke liye histry me 18th aur 19th century me bhut sare experiments kiye gaye ki atoms ka shape kaisa hai iska structure kaisa hai. Is discovery me mainly 4 scientists ke naam samne aatein hai, jisme sabse pehle Dalton aaye, uske baad J. J. Thomson, uske baad Rutherford aur last me Neil Bhor aaye. Inhone ek dusre ke limitations ko overcome karke ek naya model dete gaye.
Inke dwara diye gaye models ko hi hum is chapter me ek ek karke hum samjhenge ki atoms kya hai aur iska structure kaisa hota hai.
Atom ke center me nucleus hota hai wo proton aur electrons ko contain karta hai. Rutherford ke experiment se humne atoms ke structure ko find kiya, is experiment me humne ek α beam ko ek thin gold foil me strike kiya, to kuchh alpha rays gold foil se straight pass ho jati hai pr kuchh beams bahut jyada deviate ho jati hai, aisa isliye hota hai kyuki gold foil ke small part me nucleus present hota jo +ve charge carry karta hai aur α beam bhi +ve hota hai, jaise ki hum jante hai ki same charges ek dusre ko repel karte hai, isliye α beam apne path se deviate hota hai. Is chapter me hum nucleus ke properties ke bare me discuss karenge.
Hum science ke aise branch ke bare me baat karenge jo electron ke flow me deal karte hai. Jo device electrons ke flow ko control karne ki property rakhta hai use hum basic building blocks of all electrons kahte hai. Transistor ki discovery 1948 me hui, isse pehle vacuum tubes (valves) ka use hota tha. Vacuum tubes me cathode and anode ko plates ke form me use kiya jata tha. Vacuums me cathode ko heat karke electron ko vacuum me flow kiya jata hai aur electrons ke flow ka control electrodes ke beech ke voltages ko vary krke kiya jata hai. Is device me electron sirf cathode se anode ke taraf travel karta hai (only in one direction), isliye ise valves bhi kaha jata hai.
Modern physics me semiconductors ka use jyada hota hai. Modern world me jo bhi electronic device dekhne ko milte hai jaise ki computers, mobiles, toy cars, cars etc. in sab me semiconductor devices ka use hota hai.
Class 12 | PHYSICS |
Chapter | NUCLEI |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.