Hum science ke aise branch ke bare me baat karenge jo electron ke flow me deal karte hai. Jo device electrons ke flow ko control karne ki property rakhta hai use hum basic building blocks of all electrons kahte hai. Transistor ki discovery 1948 me hui, isse pehle vacuum tubes (valves) ka use hota tha. Vacuum tubes me cathode and anode ko plates ke form me use kiya jata tha. Vacuums me cathode ko heat karke electron ko vacuum me flow kiya jata hai aur electrons ke flow ka control electrodes ke beech ke voltages ko vary krke kiya jata hai. Is device me electron sirf cathode se anode ke taraf travel karta hai (only in one direction), isliye ise valves bhi kaha jata hai.
Modern physics me semiconductors ka use jyada hota hai. Modern world me jo bhi electronic device dekhne ko milte hai jaise ki computers, mobiles, toy cars, cars etc. in sab me semiconductor devices ka use hota hai.
Class 12 | PHYSICS |
Chapter | SEMICONDUCTOR ELECTRONIC : MATERIALS, DEVICES AND SIMPLE CIRCUITS |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.