Kisi bhi body (object) ko motion me lane ke liye hum usko push ya pull karte hai. Aur is push or pull ko force kahte hai. Jis direction me body move karti hai use ‘direction of force’ kahte hai. Example, jaise ki hum jab door open ya close karte hai toh hum door ko push karte hai, yaha force hum apne opposite direction me lagate hai, jab hum door ko apni taraf pull karte hai tab isme force hum apni taraf lagate hai.
Force har ek action me lagta hai jaise pushing, pulling, lifting, stretching, twisting and pressing. For example, force use hota hai ja football ko kick karte hai, drawer ko kholne ke liye hum uske handle ko pull karte toh yaha bhi force lagta hai, kisi bhi box ko floor se uthane ke liye bhi force lagta hai.
Har ek object me motion lane ke force lagta hai.
Jab chalti hui car me break lagate hai toh us pr bhi force lagta hai jis se car rest position me aata hai.
Class 9 | PHYSICS |
Chapter | FORCE AND LAWS OF MOTION |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.