Hamari life me work aur energy bahut important role play karte hain.
Phle hum work ke concept ko samjhte hain. Work kab hota hai? Jab hum homework krte hain ya phir koi assignment complete krte hain ya jab hum pure force se wall ko push krte hain? Kya ye physics ke according work hai? No. So, Work done kab hoga according to physics? Work tab hota hai jab force aur displacement hota hai, jab hum kisi object pr force apply krte hain aur uska displacement hota hai.
Energy modern civilization ka bahut hi important building block hai. Koi bhi body jo work krne me capable ho wo energy possess karta hai. Energy ke bahut sare forms hote hain aur energy almost hr phenomena me involve hoti hai aur ye physics ka ek bahut important concept hai. Total amount of energy jo hai pure universe me wo constant hota hai.
Class 9 | PHYSICS |
Chapter | WORK AND ENERGY |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.