Hum is chapter me basic chijo k bare me baat karenge ki aap class 11 kya padne wale hai aur physics me kin chijo ko aapko janna jaruri hai. Is chapter se que nahi aate pr aapko smjhna jaruri hai. Class 9 or 10 me aap motion- state of body, force, light, gravitation k bare me basic padh chuke hai. Ye sari chije physics ko relate krti hai. Class 11 me hum padhenge Unit and measurements, Motion 1D, 2D means koi particle move kar raha hai to kis taraf se move kar raha hai, forces, friction, circular motion, work power and energy means hum jo kam karte hai daily life me uska kitna part use ka hai. Power, work se related hai aur energy in dono se related hai. Center of mass, system of linear particle - body ka mass center me concentrated hai. Force hume kaha lagana hai ki koi bhi chij asani se ghum jae jaise ki drwaje me, fan me etc. Simple harmonic motion, waves, thermodynamics, thermal properties of matter k sath 11th ki physics over hojaegi. Apne surroundings me ho rahe changes ke bare me physics aapko sochne pe majbur kr dega jisse aapko physics padhne me interest aaega.
Read MoreClass 11 | PHYSICS |
Chapter | PHYSICAL WORLD |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.