Is chapter me hum Work, Energy aur Power ko study krenge. Hame pata hai ki hamari life me work aur energy bahut important role play krte hain. Hamne ye bhi padha hai ki force ke karan body me displacement hota hai. Koi bhi body jab rest pr hota hai aur uspr external force lagta hai to wo accelerate hone lagta hai ya move krne lagta hai. Iska mtlb uska state change hota hai. Ager body constant velocity se move kr raha hota hai to ya to uska direction ya magnitude change hota hai ya dono change hota hai. Kisi body pr jitna bhi force lage, ager uska displacement nahi hota hai to work done nahi hota hai. Work is closely related to energy.
Energy kya hai? Energy modern civilization ka bahut hi important building block hai. Koi bhi body jo work krne me capable ho wo energy possess karta hai. Energy ke bahut sare forms hote hain aur energy almost hr phenomena me involve hoti hai aur ye physics ka ek bahut important concept hai. Pure universe me jo total amount of energy hai wo constant hota hai.
Physics me, work karne ke rate ko Power kehte hai. Hum ye bhi keh sakte hai ki amount of energy consumed per unit time power hai. Kya hum sab same rate pr kaam krte hain? Kya machines same rate pr energy consume or transfer krti hain? Kitne samay me kitna kaam kiya gya hai usse power kahte hai. For example, jis rate pr lightbulb electrical energy ko heat aur light energy me transform krta hai usse watt (W) me measure krte hai, jitna jyada wattage hoga utna jyada power hoga, ya utna jyada electrical energy per unit time consume hoga.
Class 11 | PHYSICS |
Chapter | WORK, ENERGY AND POWER |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.