Hello bachho! Ab hum ek aise zone me enter karenge jisme hum apne aap se question karenge ki why some things behave the way they behave! Kyu ager mera pair fisla to mai neeche hi gira, kyu astronauts ko itni strict training ki zarurat hoti hai kisi bhi space mission ke liye, kyu kisi stone ko hum gulel (slingshot) me lapetkar door tak nishana maar sakte hai pr ek rock ko hum jitna bhi dam laga le, usko hum hila bhi nahi pate. Let’s address these types of questions.
Is chapter me hum Laws of Motion ko study krenge. Hume pata hai ki nature surrounding hai jaha hum rehte hai. Hume ye bhi pata hai ki Physics is the study of nature and natural phenomena. Ager aap nature ko bahut carefully observe kre to aap dekhenge ki kuchh objects rest pr hai aur kuchh motion me. Eg: Niche diye image me buildings rest pr hai aur vehicles move kr rahe hai.
Class 11 | PHYSICS |
Chapter | NEWTONS LAW OF MOTION |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.