Kya aapne kabhi pani me paththar fek ke khela hai? Kya aapne kabhi kisi dori ko jhatak ke dekha hai? Bs yahi to waves hai. Humare charo taraf waves hai jaise ki light ki waves ya phir sound ki waves. Sabhi waves ko hum mathematical terms me bhi describe kr sakte hai jisse different kinds of waves ki study me unhe correlate krne me easy hota hai. Jo dori ka eg. hai wo ek tarah se string hai isiliye usme jo oscillation aur propagation hota hai use hi hum string waves kahate hai. Is chapter me hum isi string waves me focus karenge. Ye string waves mechanical waves ke types me aata hai kyuki mechanical waves ka mtlb hai wo waves jinko travel (propagate) krne ke liye medium ki need hoti hai aur yaha pr dori medium hai.
Ab batao ki pani me paththar fekne se waves generate hona ya phir dori ko jhatakne se waves generate hone ka karan kya hai? Disturbance. Kyuki humne dori ya phir pani me force laga ke disturbance create kiya jiski wajah se wave originate hua. Kyon Ki yaha pani aur dori dono medium hai isliye ye mechanical wave hai. Medium me disturbance ke karan phle atom me motion hua jo next atom se takaraker use bhi motion me le ata hai means motion ko next atom me transmit kr deta hai. Jaise jaise wave pass hoti hai atom aaghe pichhe move krta hai.
Sound waves ek tarah se disturbance ka pattern hai jo ki energy ke movement ki wajah se hota hai through a medium ( jaise air, water aur koi bhi solid ya liquid matter) jo ki sound source se propagate hote hue aa rhi hai.
Source ek tarah ka object hai humara jo ki vibrations paida krta hai, such as ringing telephone or a person’s vocal chords.Toh jo vibrations paida ho rhe hai uss wajah se uss medium me jo particles hai unme disturbance paida hoga, and ek particle apne bagal waale particle me bhi disturbance create krdega and ye process chlti rahegi, toh baccho jo ye particle me disturbance hone ka jo pattern hai voh hai wave ke form me hota hai.
Baccho sound waves ko medium lgta hai propogate krne ke liye, otherwise ye propagate nhi hongi, isliye baccho sound waves vaccum me travel nhi krti hai.
Sound waves jo ki ek longitudnal waves hai voh reflect, refract, interfere and diffract but cannot be polarised kyunki keval transverse waves hi polarise ho sakti hai.
Class 11 | PHYSICS |
Chapter | WAVES |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.