Class 11th me humne physics me material ki mechanical properties mass or mass ke motion ke bare me study kiya hai, class 12th me hum material ki electrical and magnetic properties aur modern physics ke bare me padenge.
Electrostatics me electro word electron se liya gaya hai jo ki ek charge hota hai aur static ka matlab hai ruka hua. Yaane ke electrostatics me hum ruke hue charge ke bare me padenge jisko hum bolte hain charge at rest.
Is chapter me hume electric potential ki calculation krni hai. Iske pehle humne ruke hue charge ke karan electric field padha hai, ab is electric field ke karan electric potential padhenge. Kisi point pr kisi point charge ke karan potential, electric dipole ke karan potential, system of charges ke karan potential aur potential energy ki baat karenge.
Class 12 | PHYSICS |
Chapter | ELECTROSTATICS |
Medium | English |
Academic Year | 2023-2024 |
These book solutions are available for free to all students. You can also view these solutions on our Android App.